bas ek nazar se hi taswir kar gaya ye kaun mere wajud ko zanjir kar gaya ye kaun kitab-e-zist pe main tha bujha hua ek harf sunahre rang mein tahrir kar gaya ye kaun hai mere jism mein ab tak wo lams ki khushbu zamin-e-dasht ko taskhir kar gaya ye kaun har ek kucha hai sakit har ek sadak viran hamare shahr mein taqrir kar gaya ye kaun jise bhi dekhiye hairat-zada sa lagta hai ki shahryar ko rah-gir kar gaya ye kaun abhi to in ki shararat ke din the ai 'shahzad' abhi se bachchon ko gambhir kar gaya ye kaun