ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha ki hazaron dil mein thin hasraten aur uthana aankh muhaal tha raha shab jo hum se juda koi to kahe ye waqia kya koi shab-e-hijr thi ki bala koi jise dekhte hi visal tha rukh-e-yar ta na pada nazar rahe hum alam se ye nauhagar ki hamare ranj-o-malal par to malal ko bhi malal tha kare kaun us se barabari mah-o-zohra sab ko thi ham-sari dam-e-subh dekh sitamgari rukh-e-mahr zarra-misal tha shab-e-wasl dekh ke khwab mein main pada tha sakht azab mein the hazar soch jawab mein ajab us ka mujh se sawal tha mere josh-e-ashk se bahra-war hue kul jahan ke bahr-o-bar na barasti aaj ye chashm-e-tar to khuda-na-khwasta kal tha jo numud karte hi aap se lage baithne wo shitab se to ye puchhe koi hubab se ki phulae apne ye gal tha hawa main bhi dakhil-e-kushtgan to abas tu howe hai sar-garan ki mere gale ki taraf miyan tere aab-e-tegh ka dhaal tha diya kha ke aap ne pan jo dil-e-mubtala hua surkh-ru use samjha pet ka bojh wo jo tumhaare munh ka ugal tha jo mariz tha pada jaan-ba-lab khabar aur kuchh nahin us ki ab magar itna kahte hain log sab ki bada ye nek-khisal tha jo chaman se dur qafas hua to main aur asir-e-hawas hua ye jo zulm ab ke baras hua yahi qahr agle bhi sal tha nahin chahta hai ab aasman ki hum aur wo hun ba-yak-makan kahin aa gaya jo wo shab ko yan ki bulana jis ka muhaal tha to ye rang chambar-e-charkh ka nazar aae tha mujhe barmala kabhi tha siyah kabhi zard tha kabhi sabz tha kabhi lal tha na kisi ne qadr ki 'jurat' ab kahe sher garche ajab ajab jo na honge hum to kahenge sab ki bada ye ahl-e-kamal tha