bin dekhe us ke jawe ranj o azab kyun kar wo khwab mein to aawe par aawe khwab kyun kar pas us ne jo bithaya dil aur tilmilaya ab jaega khudaya ye iztirab kyun kar wo jab se hai safar mein dil muztarib hai bar mein baithen hum apne ghar mein khana-kharab kyun kar saqi firaq-e-jaanan halq apne ka hai darban utre gale se phir yan qirt-e-sharab kyun kar ghamgin hain jis ke gham se waqif nahin wo hum se yarab phir is alam se ho sabr-o-tab kyun kar wan hai sawal har dam rakhiye milap kam kam hairan hain ki den hum is ka jawab kyun kar chhota hai sin tumhaara mukhda hai pyara pyara phir ho bhala gawara sharm-o-hijab kyun kar mujh ko to hai ye hairat aisi rahi jo ismat to hoga sarf-e-ishrat ahd-e-shabab kyun kar ab taur ki to apne 'jurat' ghazal suna de dekhen to is ke honge sher intikhab kyun kar