barham kabhi qasid se wo mahbub na hota gar nam hamara sar-e-maktub na hota khuban-e-jahan ki hai tere husn se khubi tu khub na hota to koi khub na hota islam se bargashta na hote ba-khuda hum gar ishq-e-butan taba ke marghub na hota kyun pher wo deta mujhe le kar mere bar se itna jo dil-e-zar ye mayub na hota is but ko khuda laya hai hum pas wagarna jine ka hamare koi uslub na hota dil aaj ke din pas jo hota mere to aah! aane se main us shokh ke mahjub na hota hain lazim-o-malzum baham husn o mohabbat hum hote na talib jo wo matlub na hota sar apna rah-e-ishq mein deta jo na 'jurat' tu majma-e-ushshaq ka sarkub na hota