ba-tarf-e-mushtaq gah-gahe tujhe munasib guzar kiya kar

ba-tarf-e-mushtaq gah-gahe tujhe munasib guzar kiya kar
jale hai dil ki bhi aah-e-sozan se kaj-kulaha hazar kiya kar

jo ghar se bahar na dewe rukhsat haya agarche ba-sair-e-gulshan
kabhi to rauzan se bar-lab-e-baam apne aa kar nazar kiya kar

ba-talkh dushnam be-murawwat muzaeqa to nahin hai is mein
do lab se apne hamari qismat ki aisi rozi shakar kiya kar

na qadr hur-o-pari ki hargiz samae aankhon mein tere aage
tujhe hai lazim kabhi to pursish ze-haal-e-khunin-jigar kiya kar

gali mein teri nahin ijazat hai shab ki aane ki mujh ko lekin
raqib-o-ghammaz apne kuche se be-murawwat badar kiya kar

na chain din ko na khwab shab ko sabab se hijrat ke teri mujh ko
ba-naz-o-tamkin-o-sadqa-e-husn ek bosa nazar kiya kar

ba-ah-o-zari fughan nala se apne yaro main roz kahta
kabhi sitamgar ke ja ke dil mein are ni-bhage asar kiya kar

kaha tha naseh ne ishq-bazi bahut kathin hai na hona aashiq
ki qurb majlis se un buton ki gar aql rakhta khatar kiya kar

gar 'afridi' ke aarzu-dil hai wasl is ka to wajib aaya
mile na jab tak gali mein us ke to khak mitti basar kiya kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close