lab na apne kabhi aaluda-e-fariyaad rahe hum hujum-e-gham-o-alam mein bhi shad rahe kar-e-tamir-e-nasheman na ruke jurat-e-shauq baghban lakh take ghat mein sayyaad rahe zulf-e-hasti ko bahar-rang sanwara hum ne ye alag baat ki hum khasta-o-barbaad rahe dil ko tadpati hai bite hue lamhat ki yaad kash aisa ho ke ab kuchh na mujhe yaad rahe wusaton mein teri bhula hun main tanhai ko dasht-e-wahshat mere duniya teri aabaad rahe kis qadar khun hua nazr-e-bahaar-e-gulshan ham-safiro ye chaman kash ab aabaad rahe ranj-o-gham ki na kadi dhup kabhi un pe padi chhanw mein jo teri zulfon ki rahe shad rahe apne is fidwi-e-gulshan ko bhi jab aae bahaar yaad kar lena chaman walo agar yaad rahe sab hawadis rah-e-manzil ke guzar len mujh par karwan ke liye baqi na kuchh uftad rahe qissa-e-dard main kis dil se sunaun 'qasid' sun ke ahwal mera kyon koi nashad rahe