ba-wafa koi koi hota hai main bhi tha koi koi hota hai qadr kar meri qadr kar zalim dil-jala koi koi hota hai ibn-e-adam ke rog bahutere la-dawa koi koi hota hai kaun zalim nahin zamane mein aap sa koi koi hota hai dil mein kahe na chor ghar karte dar bhi wa koi koi hota hai jis tarah hum hain aap ke sarkar ba-khuda koi koi hota hai sab ka hota hai dard koi na koi dard ka koi koi hota hai aaina aap aaina-bin aap dekhna koi koi hota hai yun to qatil hain an-ginat 'rahil' aashna koi koi hota hai