chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang na jaane kaisa hai ab ke baras bahaar ka rang wo iztirab ka aalam wo intishaar ka rang khusha wo dil jise ras aae intizar ka rang chaman ko jis ne khud apne lahu se sincha hai usi se puchhiye ranai-e-bahaar ka rang har ek rang yahan jannat-e-nigah sahi magar aziz hai mujh ko khayal-e-yar ka rang hamare dam se hai qaem chaman ki ranai hamare khun se milta hai lala-zar ka rang na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai na dekh kya hai meri chashm-e-intizar ka rang hazar wada-e-mohkam ke bawajud ai dost mita mita sa hai phir tere eatibar ka rang wafa ka khun kabhi raegan nahin jata hai surkh aaj bhi 'jauhar' salib-o-dar ka rang