ba-zahir jo nazar aate ho tum masrur aisa kaise karte ho batana to sahi virani-e-dil ka nazara kaise karte ho tumhaari ek ada to waqai tarif ke qabil hai jaan-e-man main shashdar hun ki us ko pyar itna be-tahasha kaise karte ho suna hai log dariya band kar lete hain kuze mein hunar hai ye magar tum munsifi se ye kaho qatre ko dajla kaise karte ho hamari baat par wo kan dharta hi nahin hai tal jata hai tumhein kya kya nahin hasil kaho arz-e-tamanna kaise karte ho tajjub hai talluq yaad rakhna aur phir aaram se sona agar us ko bhula pae nahin ab tak sawera kaise karte ho tumhaari aah ka ye kaun sa andaz hai wazeh nahin hota muamma ye nahin khulta ki tum dariya ko sahra kaise karte ho