duniya ko dekhiye zara aankhen to kholiye suraj chadha hai sar pe badi der so liye sari masarraten teri khushiyon pe war din jitne bhi gham mile tere gham mein samo liye hum ko na-jaane kya hua phulon ko dekh kar hathon mein hum ne jaan ke kante chubho liye majburiyan kahen ki ise sadgi kahen jis ne bhi hans ke baat ki hum sath ho liye ru-e-khitab hai kisi nazuk-mizaj se chehre pe haal likhiye nigahon se boliye sipi khuli rahegi jo moti nikal gae aankhon ki sipiyon se jawahar na roliye taza rakha hai zehn mein karb-e-shikastagi jab kuchh na ban pada to kahin chhup ke ro liye