jalne mein kya lutf hai ye to puchho tum parwane se diwana-pan kya shai hai ye raaz mile diwane se naw bhanwar mein aai hai ab bachna hua muhaal bahut jo hona hai so hoga kya hoga ji bahlane se gar is sari umr mein ek bhi lamha nahin masarrat ka kaise soch len ho jaenge khatm ye dukh mar jaane se ab bhi bhara nahin hai tumhaara ji to kar lo aur sitam dil to baz nahin aane wala hai aise satane se kitni bar kaha logon ne 'khayal' bhala de zalim ko kash ki pagle log ye sochen bhula hai koi bhulane se