ba-zahir tu paraya bhi nahin hai wo apna ho ke bhi apna nahin hai mere lab se hansi chhini thi jis ne suna hai wo bhi ab hansta nahin hai meri aawargi pe raston ne mujhe puchha koi tera nahin hai zamana muntazir hai us lahu ka jo meri aankh se tapka nahin hai mujhe to khauf apne aap se hai kisi se dar mujhe lagta nahin hai hua jo so hua ab chhod bhi do bahut bhi sochna achchha nahin hai khata apni bhi mano kuchh 'samina' usi ka dosh to sara nahin hai