mere zakhm-e-jigar ko zakhm-e-daman-dar hona tha zara wazeh tumhaare lutf ka izhaar hona tha dil-e-pur-dagh ki tarikiyon par sakht hairat hai ye wo matla hai jis ko matla-e-anwar hona tha tumhein lena tha pahle jaeza apni nigahon ka phir us ke baad musa talib-e-didar hona tha pareshan hain misal-e-gard-gumnami ke sahra mein bahut aise ki jin ko qafila-salar hona tha udhar wo aae aankhon mein idhar khwab-e-ajal aaya kahan soi hui taqdir ko bedar hona tha koi dekhe to 'fazil' qabiliyyat baghbanon ki wahan kante hi kante hain jahan gulzar hona tha