husul-e-maqsad mein aakhirash yun rahegi qismat dakhil kab tak tum apni nakaamiyon pe doge muqaddaron ki dalil kab tak samundaron ki riyasaton ko luta ke aawara phirne walo ab ek qatre ki minnaton se karoge khud ko zalil kab tak tu mard-e-momin hai apni manzil ko aasmanon pe dekh nadan ki rah-e-zulmat mein sath dega koi charagh-e-alil kab tak jalal-e-rafta ko bhul bhi ja zarurat-e-haal par nazar kar rakhe ga chulhe ki aag thandi pae-waqar-e-qabil kab tak daraazi-e-qad se aadmi ko nasib hoti nahin bulandi tujhe fareb-e-faraaz degi ye kajkulah-e-tawil kab tak