ba-zat-e-khud ab tu na taklif farma tasawwur hi rahne de tashrif-farma meri hasti-e-arifana se matlab tu apne tajahul ki tarif farma agar shiddat-e-dard-e-dil dekhni hai tawajjoh mein kuchh aur takhfif farma abas mahfil-e-naz tartib di hai kisi qalb-e-muztar ki talif farma sahifa mohabbat ka kahte hain dil ko nigah-e-ghazab se na tahrif farma purana hua dagh-e-jurm-e-mohabbat koi taza ilzam tasrif farma tere munh se ahwal-e-'haidar' ki takzib wo darwesh hai us ki tarif farma