garm hai husn ka bazar KHuda KHair kare

garm hai husn ka bazar khuda khair kare
aam hai sharbat-e-didar khuda khair kare

dekhiye garmi-e-guftar khuda khair kare
ho na jae kahin takrar khuda khair kare

ab kahan jaen tere chahne wale aakhir
charkh hai darpae-azar khuda khair kare

kal jo dam bharte the ai dost mohabbat ka meri
un ke honton pe hai inkar khuda khair kare

mujh se bargashta muqaddar hi nazar aata hai
bigde bigde se hain sarkar khuda khair kare

chal ke puchhen to zara bazu-e-qatil ka haal
le ke wo nikle hain talwar khuda khair kare

hae ai josh-e-junun ab to ye haalat hai meri
dekh kar kahte hain aghyar khuda khair kare

chaunk utthen na kahin qabr ke sone wale
aap ki shokhi-e-raftar khuda khair kare

ghair ke jaur-o-sitam ka karun kis se shikwa
apnon ke badle jab atwar khuda khair kare

khar hi khar nazar aate hain gulshan mein 'shafia'
suna suna sa hai gulzar khuda khair kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close