zindagi ko ek bahr-e-be-karan pati hun main un ke hathon mit ke umr-e-jawedan pati hun main khud-bakhud dil ho gaya donon jahan se be-niyaz ab zamin-e-ishq goya aasman pati hun main chhut-phute se dil bujha rahta hai teri yaad mein chandni raaton mein ashkon ko rawan pati hun main saikdon sajde tadapte hain jabin-e-shauq mein ai haqiqat tera naqsh-e-pa kahan pati hun main ab bhi aansu bah nikalte hain kisi ki yaad mein andalib-e-zar ko jab nauha-khwan pati hun main apna ai 'tasnim' is duniya se ghabraata hai dil yan ki har shai ko faqat wahm-o-guman pati hun main