baad-e-nisyan hai mera nam bata do koi dhundh kar lao mujhe mera pata do koi hadisa hai ki sitaron se mujhe wahshat hai mujh ko is dasht ke aadab sikha do koi wo andhera hai ki tanhai se hol aata hai sare bichhde hue logon ko sada do koi ek muddat se charaghon ki tarah jalti hain in tarasti hui aankhon ko bujha do koi mauj-dar-mauj mari zindagi girdab mein hai is safine ko kinare se laga do koi