hum faqiron ka sune gar zikr-e-arra fakhta apni ku-ku par kare hargiz na gharra fakhta jal ke khakistar abhi ho jae tu ek aan mein gar tere dil mein ho soz-e-ishq zarra fakhta chashm-e-tar se apni tu sairab rakh shamshad ko yan darakht-e-khushk par chalta hai arra fakhta jama-e-khakistari se tere ye sabit hua apni darweshi ka hai tujh bhi gharra fakhta jis par us mah-e-tamami-posh ka saya pade bagh mein wo sarw ho rashk-e-maharra fakhta ishq-e-mizhgan ne bhi to khincha hai dar-e-sarw par yaad-e-abru mein agar hai zer-e-arra fakhta murgh-e-bustani ka us ke samne dam band hai naghma-sanji mein na kar 'ghafil' se gharra fakhta