chhod de aasan rasta zindagi dushwar kar jis taraf dariya chadha ho us taraf se par kar dub kar kashti kabhi ubhri nahin patal se jitna mumkin nahin hota hai khud ko haar kar phir nazar aaenge agli manzilon ke pech-o-kham dekh pani mein utar kar hath ko patwar kar tishnagi viran dariche muflisi aah-o-buka ai amir-e-shahr is manzar ka bhi didar kar