baad-e-shimal chalne lagi ang ang mein lipta hai kaun mujh se ye patjhad ke rang mein khwahish ke karobar se bachna muhaal hai utrega tu bhi sath mere is surang mein main aandhiyon mein hath bhi pakdun tera to kya ek shakh-e-be-siper hun hawaon ki jang mein 'ranjha' main ahd-e-nau ka qabilon mein bat gaya to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garma sakin na chahaten tera kathor jism har ek jal ke bujh gai taswir sang mein aage 'musawwir' aag aqab mein hai ye sada pichhe na mud ke dekhna is dasht-e-sang mein