na sath dega koi rah aashna mera juda hai sare zamane se rasta mera guzar ke aai hun main gham ke regzaron se nazar udas hai dil hai dukha hua mera na jaane kis liye qatil ke ashk bhar aae faraaz-e-dar pe jab samna hua mera dayar-e-jaan mein farozan rahegi sham-e-hayat samajh liya teri aankhon ne muddaa mera kiya hai pesh tujhe aansuon ka nazrana hujum-e-sham-e-alam aur dil jala mera wo saneha mere dil par guzar gaya 'gulnar' har ek harf-e-dua be-sada hua mera