rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah girah mein rakhte hain hum aabru guhar ki tarah suni sifat kisi khush-chashm ki jo mardum se khayal daud gaya aankh par nazar ki tarah chhupi na khalq-e-khuda se haqiqat-e-khat-e-shauq uda jahan mein kabutar mera khabar ki tarah siwae yar na dekha kuchh aur aalam mein sama gaya wo meri aankh mein nazar ki tarah adam ki rah mein khatka raha jahannam ka safar ne dil ko jalaya mere saqar ki tarah khule jo sab to bandha tar mithi baaton ka shakar girah mein wo rakhte hain neshkar ki tarah wo andalib hun shahpar jo mera mil jae chadhaen sar pe salatin huma ke par ki tarah zakat de zar-e-gul ki bahaar mein gulchin chaman mein phul luta ashrafi ke zar ki tarah giri hai chhut ke jo zanu pe sham ko afshan sitare yar ke daman mein hain sahar ki tarah mushaire ka 'amanat' hai kis ko hijr mein hosh kahan ke sher kahan ki ghazal kidhar ki tarah