baad muddat ke teri yaad ke baadal barse wo bhi aise ki kai roz musalsal barse muntazir aur bhi sahra hain isi baadal ke sirf tujh par hi bhala kaise ye har pal barse pyas is shahr ki bujhne ka yahi rasta hai ban ke baadal kisi darwesh ki chhagal barse lag gai kis ki nazar shahr-e-nigaran ko mere ab to har sham yahan wahshat-e-maqtal barse kab ki pyasi hai zamin ye bhi nazar mein rakkhe kah do baadal se zara der musalsal barse lab-kusha ho ki mahak utthe faza ka ye sukut muntazir kab se samaat hai ki sandal barse