mera dukh bhi kabhi sunega kya baat mujh se bhi wo karega kya aaj ka din mujhe qayamat hai aur ye din kabhi dhalega kya ho chuka hun main jal ke rakh yahan rakh ka dher phir jalega kya ab bhi ungli pakad ke wo meri sochta rahta hun chalega kya samne mere kal jo baitha tha wo dobara kabhi milega kya muddaton se hai qaid pinjre mein ab uda dun to wo udega kya is taraf 'soz' hai mera sab kuchh us taraf dil mera lagega kya