kaghaz ki naw kya hui dariya kidhar gaya bachpan ko jo mila tha wo lamha kidhar gaya madum sab huin wo tajassus ki bijliyan hairat mein dal de wo tamasha kidhar gaya phir yun hua ki log mashinon mein dhal gae wo dost lab pe le ke dilasa kidhar gaya kya dasht-e-jaan ki sokhta-haali kahen ise chahat mein chand chhune ka jazba kidhar gaya tarikiyan hain sath mere aur safar mudam kal tak tha ham-qadam jo farishta kidhar gaya jo rahnuma the mere kahan hain wo naqsh-e-pa manzil pe chhodta tha jo rasta kidhar gaya