baadal ambar pe na dharti pe shajar hai baba zindagi dhup mein sahra ka safar hai baba tum kahan aa gae shishon ki tamanna le kar ye to ek sang-faroshon ka nagar hai baba hum hain qaid-e-dar-o-diwar se aazad hamein jis jagah raat guzari wahi ghar hai baba man ho darwesh to phir tan pe qaba ho ki aba jog bana nahin andaz-e-nazar hai baba batn har sang mein dekhe jo koi paikar-e-naz kis ko hasil wo sanam-saz-nazar hai baba soch kar dasht-e-tamanna mein qadam rakh 'sabir' is maruthal mein ba-har-gam khatar hai baba