bund pani ki hun thodi si hawa hai mujh mein is bizaat pe bhi kya turfa ana hai mujh mein ye jo ek hashr shab-o-roz bapa hai mujh mein ho na ho aur bhi kuchh mere siwa hai mujh mein safha-e-dahr pe ek raaz ki tahrir hun main har koi padh nahin sakta jo likha hai mujh mein kabhi shabnam ki latafat kabhi shoale ki lapak lamha lamha ye badalta hua kya hai mujh mein shahr ka shahr ho jab arsa-e-mahshar ki tarah kaun sunta hai jo kohram macha hai mujh mein tod kar saz ko sharminda-e-mizrab na kar ab na jhankar hai koi na sada hai mujh mein waqt ne kar diya 'sabir' mujhe sahra-ba-kanar ek zamane mein samundar bhi baha hai mujh mein