kabhi kapde badalta hai kabhi lahja badalta hai magar in koshishon se kya kahin shajra badalta hai tumhaare baad ab jis ka bhi ji chahe mujhe rakh le janaza apni marzi se kahan kandha badalta hai rihai mil to jati hai parinde ko magar itni safai ki gharaz se jab kabhi pinjra badalta hai meri aankhon ko pahli aakhiri had hai tera chehra nahin main wo nahin jo roz aaina badalta hai ajab ziddi musawwir hai zara pahchan ki khatir meri taswir ka har roz wo chehra badalta hai