hayat-o-maut ki uljhan mein Dalta kyon hai

hayat-o-maut ki uljhan mein dalta kyon hai
ye tohmaten mere upar uchhaalta kyon hai

ab aa gaya hun to khatre mein dalta kyon hai
andheri raat mein ghar se nikalta kyon hai

abhi moamla-e-kaenat tai kar de
zara si baat qayamat pe talta kyon hai

kisi tarah bhi to insan tera harif nahin
phir is gharib ko tu mar dalta kyon hai

nadim tera to is mein koi mafad nahin
main gir raha hun tu mujh ko sanbhaalta kyon hai

mujhe bacha na sakega tu gharq hone se
fuzul khud ko halakat mein dalta kyon hai

kisi tarah to ye ehsas ka azab mite
tu mere sine se khanjar nikalta kyon hai

tu apni fikr ko kuchh bhi samajh magar 'tahir'
kisi ke sher mein kide nikalta kyon hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close