baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah hum to darwesh the aae yahan piron ki tarah raj-mahlon mein kahan dhundh rahe ho hum ko hum to ajmer mein rahte hain faqiron ki tarah hum bhi is mulk ki taqdir ka ek hissa hain hum na mit paenge hathon ki lakiron ki tarah jaan-fishani se bahut hum ne jade hain aansu mathar-e-hind tere taj mein hiron ki tarah dushmanon ko to yahi baat bahut khalti hai hum to ghurbat mein bhi zinda hain amiron ki tarah