is dil se mere ishq ke arman ko nikalo tahrir se auraq-e-pareshan ko nikalo mumkin hai tahi kar do mujhe har kisi shai se mumkin ho agar dil se is iman ko nikalo gar dur talak bab ke imkan nahin hain diwar mein ek rauzan-e-zindan ko nikalo jis ko hai bharam aaj bhi paiman-e-wafa ka sine se mere us dil-e-nadan ko nikalo patjhad mein bhi har gul pe bahaar aae yaqinan gulshan se agar mausam-e-hijran ko nikalo tab ja ke laga paoge dil apna khizan se pahle to is ummid-e-bahaaran ko nikalo tanhai chali aae khula jaan ke ek dar palkon se agar yaad ke darban ko nikalo sahraon mein phir dur talak saf hai manzar aankhon se agar ret ke tufan ko nikalo aashufta-saron par bhi nazar jaegi 'nayab' gardan se agar sar-ba-gareban ko nikalo