baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona aap aasan samajhte hain munawwar hona ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona sirf bachchon ki mohabbat ne qadam rok liye warna aasan tha mere liye be-ghar hona hum ko malum hai shohrat ki bulandi hum ne qabr ki mitti ka dekha hai barabar hona is ko qismat ki kharabi hi kaha jaega aap ka shahr mein aana mera bahar hona sochta hun to kahani ki tarah lagta hai raste se mera takna tera chhat par hona mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna ek eazaz hai us dar ka gadagar hona sirf tarikh batane ke liye zinda hun ab mera ghar mein bhi hona hai calendar hona