ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main ek bayaban dar bayaban hai jidhar jata hun main bazm-e-fikr o hosh ho ya mahfil-e-aish o nashat har jagah se chand nishtar chand gham lata hun main aa gai ai na-muradi wo bhi manzil aa gai mujh ko kya samjhaenge wo un ko samjhata hun main un ke lab par hai jo halke se tabassum ki jhalak us mein apne aansuon ka soz bhi pata hun main sham-e-tanhai bujha de jhilmilati shama bhi in andheron mein hi aksar raushni pata hun main himmat-afza hai har ek uftad rah-e-shauq ki thokaren khata hun girta hun sambhal jata hun main un ke daman tak khud apna hath bhi badhta nahin apna daman ho to har kante se uljhata hun main shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rahbar mujh pe khud bhi khul nahin pata kidhar jata hun main