baal shishe mein kahin baal se main hota hun be-yaqini mein pade jal se main hota hun aisa bimar banati hai teri aankh mujhe aise gulnar tere gal se main hota hun tujh pe wo umr guzari main kahin aae na aae sher kahte hue jis haal se main hota hun dam-o-darham hunar-e-khwab ke badle lao aise marub kahan mal se main hota hun dil ki gahrai teri zat ki tanhai meri qal se to hua hai haal se main hota hun ek tajridi-numu husn ne rakkhi hum mein khad se to hota hua khal se main hota hun aur zara tham ke adam-nama-e-hasrat ho kar ashk be-zar teri dhaal se main hota hun