dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai ye shahr to mujhe jalta dikhai deta hai jahan ki dagh hai yan aage dard rahta tha magar ye dagh bhi jata dikhai deta hai pukarti hain bhare shahr ki guzargahen wo roz sham ko tanha dikhai deta hai ye log tuti hui kashtiyon mein sote hain mere makan se dariya dikhai deta hai khizan ke zard dinon ki siyah raaton mein kisi ka phul sa chehra dikhai deta hai kahin mile wo sar-e-rah to lipat jaen bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai