baam par aae kitni shan se aaj badh gae aap aasman se aaj jab kaha hum khafa hain jaan se aaj bole khush kar den imtihan se aaj kis maze ki hawa mein masti hai kahin barsi hai aasman se aaj be-takalluf na ho koi un se bane baithe hain mehman se aaj main ne chheda to kis ada se kaha kuchh sunoge meri zaban se aaj dil ke tukdon ki tarah hum ne chune tukde kuchh dil ki dastan se aaj nichi dadhi ne aabru rakh li qarz pi aae ek dukan se aaj unche kothon ke baithne wale baaten karte the aasman se aaj na-tawan dil ki be-zaban dil ki aap ne sun li apne kan se aaj koi ja kar 'riyaz' ko samjhae kuchh khafa hain wo apni jaan se aaj