khud dil mein rah ke aankh se parda kare koi han lutf jab hai pa ke bhi dhunda kare koi tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi duniya laraz gai dil-e-hirman-nasib ki is tarah saz-e-aish na chheda kare koi mujh ko ye aarzu wo uthaen naqab khud un ko ye intizar taqaza kare koi rangini-e-naqab mein gum ho gai nazar kya be-hijabiyon ka taqaza kare koi ya to kisi ko jurat-e-didar hi na ho ya phir meri nigah se dekha kare koi hoti hai is mein husn ki tauhin ai 'majaz' itna na ahl-e-ishq ko ruswa kare koi