baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi ek jazbaat ki shiddat thi mohabbat kya thi ab ye jaana ki wo din-raat ke shikwe kya the ab ye malum hua wajh-e-shikayat kya thi koi ek shokh ishaara hi bahut tha ai dost itne sanjida tabassum ki zarurat kya thi mazarat thi wo faqat apni ghalat-bini ki jis pe nazan the bahut hum wo basirat kya thi halqa-e-zulf-e-rasa us ke liye kafi tha tere diwane ko zanjir ki hajat kya thi ye usi ka hai natija ki tahi-dast rahe har khilaune pe lapakne ki zarurat kya thi faras-e-umr hi apna hai bahut sust qadam warna 'ehsan' pe thodi si masafat kya thi