chand mere ghar mein utra tha kahin duba na tha ai mere suraj abhi aana tera achchha na tha main ne sun li thi tere qadmon ki aahat dur se tu na aaega kabhi dil mein mere dhadka na tha main ne dekha tha sar-e-aina ek paikar ka aks hu-ba-hu ham-shakal tha mera magar mujh sa na tha kyun jhulas dala hai us ne mere khadd-o-khal ko waqt ek dariya tha lekin aag ka dariya na tha band pani ke bhanwar mein kho gai kashti meri aankh jal-thal thi magar aansu koi tapka na tha main na daman-e-charagh-e-be-nawa ban kar jala thi talab jhonke ki mujh ko aur tu jhonka na tha ghum kar dekha to tha jis rah par tanha rawan bhid itni thi ki chalne ko wahan rasta na tha main ki wusat ki tamanna mein bagula ban gaya ret ke zarre the daman mein mere sahra na tha kahish-e-soz-o-ziyan ne rakh kar dala mujhe main ne samjha tha ki ye shoala yahan jalta na tha mere sahra ki tapish ko dekh kar hairan na tha abr ghir kar barha aaya magar barsa na tha apne bachchon ka tabassum dekh kar 'arif' bata ghar ki virani ka tujh ko shikwa-e-beja na tha