lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein umr tamam kat gai kawish-e-ehtisab mein tere shabab ne kiya mujh ko junun se aashna mere junun ne bhar diye rang teri shabab mein aah ye dil ki jaan-gudaz joshish-e-iztirab hai hae wo daur jab kabhi lutf tha iztirab mein qalb tadap tadap utha ruh laraz laraz gai bijliyan thin bhari hui zamzama-e-rubab mein charkh bhi mai-parast hai bazm-e-zamin bhi mast hai gharq-e-buland-o-past hai jalwa-e-mahtab mein mere liye ajib hain teri ye muskurahaten jag raha hun ya tujhe dekh raha hun khwab mein mere sukut mein nihan hai mere dil ki dastan jhuk gai chashm-e-fitna-za dub gai hijab mein lazzat-e-jam-e-jam kabhi talkhi-e-zahr-e-gham kabhi ishrat-e-zist hai 'asar' gardish-e-inqilab mein