baat ho dair-o-haram ki ya watan ki baat ho baat jab ho doston husn-e-chaman ki baat ho desh ki khatir khushi se jo luta dete hain jaan un shahidan-e-watan ke bankpan ki baat ho qaum-o-mazhab kya kisi ka aur kya hai rang-o-nasl aisi baaten chhod kar bas ilm-o-fan ki baat ho asr-e-hazir ne hamara dil bhi patthar kar diya lazmi hai ab wafaon ke chalan ki baat ho is amal se zindagi ho jaegi aasan bahut aisa kuchh mat boliye jis mein chubhan ki baat ho ek hi rangat hai sab ke khun ki to dosto kyun hamare bich shaikh-o-barahman ki baat ho mil ke baithe hain to yaro ab sunaen haal-e-dil kuchh tumhaare dil ki ho kuchh mere man ki baat ho