zawiye fikr ke ab aur banao yaro baat kaghaz pe nae dhang se lao yaro kar diye sard masarrat ki ghata ne jazbaat ruh ko gham ki zara dhup dikhao yaro jang akhlaq-o-mohabbat se bhi ho sakti hai apne dushman pe na talwar uthao yaro jis ko har qaum ki tahzib gawara kar le aisa dastur koi samne lao yaro intiha nur ki aankhon mein na zulmat bhar de raushni had se ziyaada na badhao yaro mera maqsad hai mulaqat gharaz kuchh bhi nahin mujh ko utre hue chehre na dikhao yaro manzilen zer-e-qadam jald simat aaengi jazba-e-'shauq' zara aur badhao yaro