badal chuki hai har ek yaad apni surat bhi wo ahd-e-rafta ka har khwab har haqiqat bhi kuchh un ke kaam nikalte hain dushmani mein meri main dushmanon ki hamesha se hun zarurat bhi kisi bhi lafz ne thama nahin hai hath mera main padh ke dekh chuki aakhiri ibarat bhi ye jis ne rok liya mujh ko aage badhne se wo meri be-gharazi thi meri zarurat bhi meri shikasta-dili hi ba-ru-e-kar aai wagarna waqt to karta nahin riayat bhi main apni baat kisi se bhi kar na paungi mujhe tabah karegi ye meri aadat bhi main kaise baat bhala dil ki man lun 'shabnam' ki us ko mujh se mohabbat bhi thi adawat bhi ye mera ijz ki dil mein use utarne diya ye us ka man ki mangi nahin ijazat bhi