baat jab baat se nikalti hai

baat jab baat se nikalti hai
baat shubhat se nikalti hai

baat wo talkh-o-tursh hai goya
jo shikayat se nikalti hai

baat wo qabil-e-adab hai jo
nek jazbaat se nikalti hai

khatm ho qalb se wo nafrat bhi
jo fasadat se nikalti hai

dahr mein kashmakash hai us bu se
jo khurafat se nikalti hai

is hawa ne jala diye hain ghar
jo bhi khadshat se nikalti hai

baat wo hamil-e-sabaq hai jo
guzre haalat se nikalti hai

dahshat-e-dahr se aman mango
ye to haalat se nikalti hai

ru-ba-ru ho na 'faiz' se ulfat
achchhe jazbaat se nikalti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close