baat jitni tawil hoti hai wo barae-dalil hoti hai kaun samjha hai un ishaaron ko jin se nafrat qatil hoti hai rab ka tohfa hai fahm-e-insani zist ki wo fasil hoti hai hai wo khush-haal insan duniya mein jis ki aadat jamil hoti hai e'timad-o-yaqin rab par ho zindagi khud-kafil hoti hai sirf baham yaqin na hone par dahr behad zalil hoti hai log zar par nisar hain jis mein dar-e-fani dakhil hoti hai dam-e-sayyaad se nikalne ki mehr-e-rab hi sabil hoti hai ek ehsas hi ki daulat se 'faiz' duniya khalil hoti hai