zulm kyon narawa kare koi kuchh to khauf-e-khuda kare koi hoga maghrur aur bhi maghrur aaina de ke kya kare koi sun le apne faqir ki sun le ek sada hai bhala kare koi muft hi kar rahe hain zulm-o-sitam qarz ho to ada kare koi intiha ho chuki khushamad ki us ki marzi ka kya kare koi aah likh kar qalam bhi tod diya haal kab tak likha kare koi aashiqon ka faqat bahana hai dard ho to dawa kare koi lo chalo bazm-e-ghair mein bhi chalen dekhen 'ejaz' kya kare koi