dekhiye kya se kya ho gaya ab to wo parsa ho gaya baat ka tha na jis ko shuur aaj wo rahnuma ho gaya lut gaya rah chalte hue kya tha sathi juda ho gaya sar utha kar bhi dekha nahin itna sharminda sa ho gaya kuchh saliqa nahin baat ka ruth kar wo khafa ho gaya baat banti bigadti rahi bab-e-dil jab na wa ho gaya aate jate bhi milta nahin itna kyon bewafa ho gaya kash ab bhi wo kuchh soch le wo jo ahl-e-jafa ho gaya 'faiz' kaise kate zindagi jab ki jina gila ho gaya