chala hai o dil-e-rahat-talab kya shadman ho kar zamin-e-ku-e-jaanan ranj degi aasman ho kar kiya viran chaman ko aae ho kya bostan ho kar hue gul pani pani ye chali aab-e-rawan ho kar isi khatir to qatl-e-ashiqan se mana karte the akele phir rahe ho yusuf-e-be-karwan ho kar jawab-e-nama kya laya tan-e-be-jaan mein jaan aai gaya yan se kabutar wan se aaya murgh-e-jaan ho kar ghazab hai ruh se is jama-e-tan ka juda hona libas-e-tang hai utrega aakhir dhajjiyan ho kar agar aahista bolun na-tawani kahti hai bas bas sada-e-jumbish-e-lab dete hi sadme fughan ho kar izar-e-atishin khatt-e-siyah ek din nikalega rulaega ye shoala meri aankhon ka dhuan ho kar mukaddar ho agar lo mujh ko gado is taraf dekho ki zer-e-khak hun gard-e-nigah se na-tawan ho kar kiya ghairon ko qatl us ne mue hum rashk ke mare ajal bhi dosto aai nasib-e-dushmanan ho kar phira sad-chaak ho kar kucha-e-kakul se dil apna azizo yusuf-e-gum-gashta aaya karwan ho kar kaman abru ki aise narm hai aaega jo nawak rahega ustukhwan mein apne maghz-e-ustukhwan ho kar chhudai chus kar hum ne misi to kya hai sharmaya lab us mahjub ka chhupne laga munh mein zaban ho kar falak meri tarah aakhir tujhe bhi pis dalega udega ai huma ek roz gard-e-ustukhwan ho kar huma se hai kadapan ai sag-e-jaanan jo tu khae mulaem ustukhwan ho jaen maghz-e-ustukhwan ho kar jahan jo chahiye waisi hi wo dikhlae nairangi basar aankhon mein goyai zaban mein dil mein jaan ho kar sitam kar us ke ye dekhe to khun-rezi pe mail ho kare sang-e-malamat tez khanjar ko fasan ho kar nahane mein jo lahraati hai zulf-e-yar dariya mein tadapne lagti hain pani pe maujen machhliyan ho kar udasi jhuk ke milte ho nigah se qatl karte ho sitam-ijad ho nawak lagate ho kaman ho kar uthaegi jo hum ko wahshat-e-dil yar ke dar se girenge paezi panw pe apne bediyan ho kar kaha jo us ne chaha zoaf se yan lab nahin milte subuk kar deti hain harf-e-sukhan bar-e-garan ho kar asar baqi raha balbe shab-e-furqat ki tariki charagh-e-rose se shoala nikal aaya dhuan ho kar khat-e-nau-khez mein aariz jo tere chhupte jate hain pari ban jaenge is sabz shishe mein nihan ho kar gira qadmon pe said-e-na-tawan tha hath se chhut kar jagah de ab to naqsh-e-pae-e-sayyaad aashiyan ho kar tere wahshi ko barson ai pari kab nind aati hai agar khwab-e-giran aaya bhi to sang-e-giran ho kar 'wazir' us ka hun main shagird jis ko kahte hain munsif liya mulk-e-maani baadshah-e-shairan ho kar