kisi bhi rah pe rukna na faisla kar ke bichhad rahe ho meri jaan hausla kar ke main intizar ki haalat mein rah nahin sakta wo intiha bhi kare aaj ibtida kar ke teri judai ka manzar bayan nahin hoga main apna saya bhi rakkhun agar juda kar ke mujhe to bahr-e-bala-khez ki zarurat thi simat gaya hun main duniya ko rasta kar ke kisi khayal ka koi wajud ho shayad badal raha hun main khwabon ko tajraba kar ke kabhi na faisla jaldi mein kijiye 'sahil' badal bhi sakta hai kafir wo bad-dua kar ke